Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Lyrics – Luv Kush Ramayan Katha

Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Lyrics

Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Lyrics.

Hum Katha Sunaate Ram Sakal Gun Lyrics

Written & Direction: Ramanand Sagar
Music Director: Ravindra Jain
Show: DD Ramayan (1987, 25 January)
Video Credit: Nitin Tomer

Om Shree Mahaa Ganaadhi Pathye Namah
Om Shree Umamaheshawaraabhyam Namah

Vaalmiki Gurudev Ke… Padh Pankaj Sir Naaya
Sumire Maath Saraswati… Hum Par Ho-Ua khud Sahaay
Maath Pithaa Ki Vandhana Karthe Baarambaar…
Gurujan Raaja Prajajan… Naman Karo Sweekaar…

Hum Katha Sunaate… Ram Sakal Gun Dhaam Ki
Hum Katha Sunaate… Ram Sakal Gun Graam Ki

Ye Ramayan Hai… Punya Katha Shri Ram Ki

Jambu Dweepe Bharat khande…  Aaryavarthe Bhaarat Varshe
Ek Nagari Hai Vikyath Ayodhya Naam Ki…
Yahi Janma Bhoomi Hai… Param Poojya Shree Ram Ki…

Hum Katha Sunaate… Ram Sakal Gun Dhaam Ki
Hum Katha Sunaate… Ram Sakal Gun Graam Ki

Ye Ramayan Hai… Punya Katha Shri Ram Ki

Raghukul Ke Raja Dharmaathma… Chakravarti Dhashrath Punyathma
Santhathi Hethu Yagya Karvaaya…
Dharm Yagya Ka Shubh Phal Paya…

Nrup Ghar Janme Chaar Kumaraa… Raghukul Deep Jagat Adhaara
Charon Bhratonke Shubh Naama…
Bharat, Shatrughna, Lakshman, Rama…

Guru Vashishtha Ke Gurukul Jaake… Alpa Kaal Vidya Sab Paake
Pooran Huyi Shikshaa… Raghuvar Pooran Kaam Ki…

Hum Katha Sunaate… Ram Sakal Gun Dhaam Ki
Hum Katha Sunaate… Ram Sakal Gun Graam Ki
Ye Ramayan Hai… Punya Katha Shri Ram Ki…

Mruduswar Komal Bhaavana… Rochak Prasthuthi Dhang
Ek Ek Kar Varnan Kare… Luv Kush Ram Prasang…
Vishwamithr Mahaa Muni Raayi… Thinke Sang Chale Do Bhai…
Kaise Ram Thadka Maari… Kaise Naath Ahilya Thaari…

Munivar Vishwa Mitra Thab… Sang Le Lakshman Ram
Siya Swayamvar Dekhne…Pahunche Mithila Dham…

Janakpur Utsav Hai Bhaari… Janakpur Utsav Hai Bhaari…
Apne Var Ka Chayan Karegi Sita Sukumari
Janakpur Utsav Hai Bhaari…

Janak Raj Ka Kathin Pran… Suno Suno Sab Koyi…
Jo Thode Shiv Dhanush Ko… So Sita Pati Hoyi…

Ko Thori Shiv Dhanush Kathor… Sab Ki Drishti Ram Ki Oar
Ram Vinay Gun Ke Avtaar… Guruvar Ki Aagna Sirdaar
Sahaj Bhaav Se Shiv Dhanu Thoda…
Janak Suta Sang Naatha Joda…

Raghuvar Jaisa Aur Na Koyi… Sita Ki Samata Nahin Hoyi
Dhou Kare Paraajith Kaanthi Koti Rati Kaam Ki…

Hum Katha Sunaate… Ram Sakal Gun Graam Ki
Ye Ramayan Hai… Punya Katha Shri Ram Ki…

Sab Par Shabd Mohini Daari…
Mantramugdha Bhaaye Sab Nar Naari…
Yu Dhin Rain Jaathi Hai Bheethe…
Luv Kush Ne Sab Ke Mann Jeete…

Van Gaman, Sita Haran, Hanumat Milan,
Lanka Dhahan, Ravan Maran,
Ayodhya Punaraagaman…

Savisthaar Katha Sunaayi… Raja Ram Bhaye Raghuraai
Ram Raj Aayo Sukh Dhaayi…
Sukh Samriddhi Shree Ghar Ghar Aayi…

Kaal Chakra Ne Ghatna Kram Mein… Aisa Chakra Chalaya…
Ram Siya Ke Jeevan Mein… Phir Ghor Andhera Chaaya…

Avadh Mein Aisa, Aisa Ek Din Aaya… Nishkalank Sita Pe Praja Ne
Mithyaa Dosh Lagaaya…
Avadh Mein Aisa, Aisa Ek Din Aaya…

Chadi Siya Jab Thod Kar… Sab Neh Naathe Moh Ke
Paashaan Hridayon Mein… Na Angaare Jage Vidhroh Ke…

Mamthamayi Maaon Ke Aanchal Bhi…
Simat Kar Raha Gaye…
Gurudev Gyan Aur Neeti Ke
Sagar Bhi Ghat Kar Rah Gaya…

Na Raghukul Na RaghukulNayak… Koyi Na Siya Ka Hua Sahaayak
Maanvatha Ko Kho Baite Jab
Sabhya Nagar Ke Vaasi… Thab Sita Ko Hua Sahaayak
Van Ka Ek Sanyaasi…

Un Rishi Param Udaar Ka… Valmiki Shubh Naam
Sita Ko Aashray Diya… Le Aaye Nij Dhaam…

Raghukul Mein Kuldeep Jalaaye…
Ram Ke Do Sut Siya Ne Jaaye..

(Shrotagan..! Jo Ek Raja Ki Putri Hai,
Ek Raja Ki Putrvadhu Hai,
Aur Ek Chakravati Raja Ki Patni Hai,
Vahi Maharaani Sita Vanvaas Ke Dukho Mein,
Apne Din Kaise Kaat Thi Hai,
Apne Kul Ke Gaurav Aur Swabhimaan Ki Raksha Karte Huye,
Kisi Se Sahayatha Maange Bina,
Kaise Apna Kaam Wo Swayam Karti Hain,
Swayam Van Se Lakdi Kaant Thi Hai,
Swayam Apna Dhaan Koot Thi Hai,
Swayam Apni Chakki Peesti Hai,
Aur Apni Santhaan Ko Swavalambi Banane Ki Shiksha
Kaise Deti Hai, Ab Uski Ek Karun JhaanKi Dekhiye)

Janak Dulari Kulavadhu Dasharath Ji Ki
Raj Rani Ho Ke Din Van Mein Bhithati Hai,
Rehte The Gheri Jise… Das Daasi Aatho Yam
Daasi Bani Apni… Udaasi Ko Chupati Hai…
Dharam Praveena Sati… Param Kulina
Sab Vidhi Dosh Heena Jeena… Dukh Mein Sikhati Hai…

Jagmata Hari Priya Lakshmi Swarupa Siya,
Koot Thi Hai Dhaan… Bhoj Swayam Banati Hai…
Kathin Kulhadi Leke Lakdiya Kaant Thi Hai
Karam Likhe Ko Par Kaant Nahi Paathi Hai…

Phool Bhi Utaana Bhaari Jis Sukumari Ko Tha
Dukh Bhare Jeevan Ka Bhoj Woh Utaathi Hai…
Ardhangini Raghuveer Ki… Woh Dhar Dheer…
Bharti Hai Neer… Neer Nain Mein Na Laathi Hai…

Jiski Praja Ke Apvaadon Ke… Kuchakra Mein…
Peesti Hai Chaaki Swabhiman Kho Bachaathi Hai…
Paalti Hai Bachhon Ko… Woh Karma Yogini Ke Bhaati…

Swaabimaani, Swaavalambi, Salab Banaathi Hai…
Aisi Sita Maatha Ki Pareeksha Lethe Dukh Dethe…
Nitur Niyathi Ko Dhaya Bhi Nahi Aathi Hai…

Oo Oo…Us Dukhiya Ke Raj Dulaare…
Hum Hi Suth Shri Ram Tihaare…

Oo Oo… Sita Maa Ki Aankh Ki Thaare… Ye Ye…
Luv Kush Hai Pithu Naam Hamaare…
Hey Pitu Bhagya Hamaare Jaage
Ram Katha Kahi Ram Ke Aage…

Watch Hum Katha Sunate Ram Sakal Gun Dhaam Ki Video Song

Also Read: Mangal Bhavan Amangal Haari Song Lyrics